Posts

Showing posts with the label Quotes

Chot

Uss ne zindagi main pehli baar chot khayii thi aur zindagi main pehli baar parnay wali chot toh baray baron ko rula deti hai.

Hum kia hain ?

" Hum kya hain Hmari Muhabatain kya hain ? kya chahtay hain .. kya paatay hain.. " -Umera Ahmad (Peer-e-Kamil) 
"Khwaahish toh Allah insaan ko woh day deta hai k Maujazon k ilawa koi cheez jisay poora kar hee nahin sakti." -Peer e kamil-

Muhabbat Mai Sidq

"Ye jo log kehte hain naw jis se muhabbat hui woh naheen milla. Aisa pata hai kyun hota hai ? Muhabbat mai sidq naa ho to muhabbat nahin milti.  9 saal pehle jab maine Jalal se muhabbat ki to puray sidq k sath ki. Duaen, Wazeefain, Manaten, Kia tha jo main ne nahin kar chora .. Magar woh mjhe nahin milla. Pata hai kyun ? Kyunkay uss waqt tum bhi mujhse karne lagay thay. Aur tumhaari muhabbat main meri muhabbat se ziada sidq tha." 

Ajeeb wehshat, Ajeeb Aalam

" Ajeeb Wehshat thi jo bahar thi,     Ajeeb Aalam tha jo Andar tha. "
Woh zinda rehna nahin chaahta tha ..  Kyun k woh zindagi k mafhoom se waqif nahin tha. Woh marna nahin chaahta tha ..  Kyun k woh maut k mafhoom se bhi waaqif nahin tha, Woh kisi khalaa mai mualaq tha. Kisi darmiyaan wali jagah main , Kisi beech wali kaifiyat main.
" Duniya Ishq e Allah se shuru hoti hai aur Ishq e Muhammad (S.A.W) par khatam ho jati hai. " 
"Agar hamain Khaaliq kay Ehsaanon ko yaad rakhnay ki aadat na ho  Toh hum kisi makhlooq ka Ehsaan bhi yaad rakhnay ki aadat nahi seekh saktay."

Ussay Allah se khauf aa raha tha.

"Ussay Allah se khauf aa raha tha. Woh kis qadarr taaqat war tha. Kia nahin kar sakta tha? Woh kis Qadar mehrbaan tha. Kia nahin karta tha .. Insaan ko insaan rakhna usay aata tha ... Kabhi Ghazab se .. Kabhi Ehsaan se. Woh ussay uss k dairay main hee rakhta tha."

Bolna nahin .. sirf sun'na

"Bolna nahin .. sirf sun'na .. sirf sun'na bhi baaz dafa boht Ehmiyat ka haamil hota hai." 
"Naik Aurtein Naik Mardon k liye hoti hain  Aur Buri Aurtein Buray Mardon k liye."

Mujhay tum par yaqeen nahin tha .. Allah par yaqeen tha.

Imama gardan morr kar usay dekhnay lagi.  "Mujhay yaqeen tha tum mujhay kaheen or naheen lay jao gey. "   Woh uski baat par hansa. "Mujh par yaqeen tha .. Kyun ? Main toh aik boht bura larka hoon." "Mujhay tum par yaqeen nahin tha .. Allah par yaqeen tha." Salaar k maathay par kuch bal par gaye. "Mainy Allah or apnay paighambar (S.A.W) ke liye sab kuch chor diya hai. Yeh kabhi bhi nahin ho sakta tha k woh mujhay tumhare jaise aadmi k haathon ruswa karte, Yeh mumkin hee nahin tha." 

Urooj her qoam her nasal ka khuwaab hota hai.

" Urooj her qoam her nasal ka khuwaab hota hai.  Aur phir woh qoamain jin per ilhaami kitaabain naazil hui hon,  Woh toh urooj ko apna haq samajhti hain  Magar kabhi kisi qoam per sirf iss liye urooj nahi aaya kay ussay aik kitaab aur Nabi day diya gaya.  Jab tak uss qoam nay apnay aamaal aur afa'aal say urooj kay liye apni ahliyat saabit nahi kardi woh kisi martaba, kisi muqaam, kisi fazeelat kay qaabil nahi thehreen. "

Bakhshish nahi hogi tumhari!

" Tum..... tum ... tum ....... Bakhshish nahi hogi tumhari!  Hashim Mubeen ghussay kay alam mai ungli utha kar bolnay lagay.  Imama ko unn per tars anay laga. Ussay dozakh mai kharay ho kar dozakh say daranay walay shakhs per tars aya, Ussay ankhon per patti bandh kar phirnay walay shakhs per tars aya. Ussay mohar shuda dil walay admi per tars aya, Ussay nafs zada aadmi per tars aya, Ussay gumraahi ki sab say ooper wali seerhi per kharay admi per tars aya. "

Saad Saa'at

"  Insaan ki zindagi mai kuch saa'atain saad hoti hain.  Shab-e-Qadar ki raat mai anay wali uss saad saa'at ki tarah  Jissay bohat say loag guzar janay detay hain,  Sirf chand uss saa'at kay intizar mai haath uthaaye aur jholi phailaaye bethay hotay hain. Uss saa'at kay intizar mai jo chaltay paani ko roak day  Aur rukay hue paani ko rawaan karday,  Jo dil say nikalnay wali dua ko labon tak anay say pehlay muqaddar bana day. " -An excerpt from peer e kamil-

Some are born virtuous, some become virtuous.

Kuch sualeeh hoty hain kuch sualeh banty hain. Sualeeh hona khush kismati ki baat hai. Sualeeh ban'na Do dhaari tyalwaar par chalnay k barabar hai. Iss mai ziada waqt lagta hai, iss mai ziada takleef sehni parti hai. " Translation: �Some are born virtuous, some become virtuous.  To be good by nature is indeed fortunate  but to become good is like walking on a double-edged sword;  it takes a longer time and is more painful.�  ?  Umera Ahmed

What is next to ecstasy ?

"What comes next to ecstasy?" uss ney gerdun more key Imama sey poocha.  woh kuch dair ussey dekhti rahi, phir uss ney madham awaz main kaha-  "Pain" "And what comes next to pain?" Salaar ney bila-tawquf sawal kiya-  "Nothingness" "What is next to nothingness?" Salaar ney ussi andaz mein sawal kiya -  "Hell" Imama ney kaha "And what is next to Hell?" iss baar Imama khamoshi sey uss ka chehra dekhti rahi.  "What is next to hell?" Salaar ney apna sawal dohraya "tumhey khouf nahi aata-" Salaar ney Imama ko kadre ajeeb andaaz sey poochtey suna.  "Kis Cheeze sey": Salaar hairaan hoa "Hell sey�. uss jaga sey jis key agey aur kuch bhi nahi hota�sub kuch uss key peechey reh jata hai� maatoob aur makhzoob ho janey key baad baqi kia bajta hai jissey jananey ka tumhey tajasus hai"- Imama ney qadre ufsoos sey kaha "Mein tumhari baat samjh nahi saka�. sub kuch merey upar sey guzra hai...