Posts

Showing posts with the label Exerpts
Woh UNICEF ki team k sath chartered taiyaaron mai safar karte huay apni zindagi k baray mai sochta .. Uss ne zindagi main aise kon se kaarnamay sar anjaam diye thay k usay woh pur-aasae'sh zindagi dee gayi thi jo woh guzaar raha tha. Aur un logo se kia gunnah huay thay k woh zindagi ki tamam buniyaadi zaruriyaat se mehroom sirf zinda rehne ki khwahish mai khoraak k unn packets k peechay bhaagtay phirtay hain.

Salaar ki Dua

Image
Mein Nabi Hota to Nabiyon Jesi Dua kerta, Magar mein to aam Bashar hun or Gunah-Gaar Bashar!  Meri khawahishat, Meri Arzuain.. sab aam hain!  Yahan kharay ho ker kabhi koi kisi Aurat k liye nai Roya hoga! Meri zilat or Pasti ki is se ziada inteha kya ho gi k mein yahan khara... Haram paak may khara, aik Aurat k liye Girgira raha hun! Aagar mujha naa apnay dil pe Ikhtiyar hai naa apnay Ansuon per!  yeh mein nai tha jis ne us Aurat ko apnay dil may jagah di,  yeh tu nay kiya! kyun meray dil mai us aurat k liye itni muhabbat daal di k mein teray samnay khara bhi usko yaad ker raha hun?  kyun mujhy is qadar baybus ker dia k mujhy apnay wujood per bhi koi Ikhtiyaar nai raha?  Mein wo Bashar hun jisay tu ne In tamam kamzoriyon k sath banaya!  Mein wo bashar hun jisay teray Siwa koi Raasta dhikhanay wala nahi or wo Aurat ... wo meri zindagi k her raastay pay khari hai!  Mujhay kahin jaanay kahin pohonchnay nahi de rahi yaa to uski Muhabbat ko is tarah me...

Waada

Image
" Mujhay tum se kitni muhabbat ho gi ye main nahin jaanti.  Dil par mera akhtiyaar nahin hai. Magar mai jitni zindagi tumhare sath guzaarun gi, Tumhari wafadaar or farman-bardaar rahoon gi. Yeh mere Akhtiyaar main hai.  Main zindagi k har mushkil marhalay ,  Har aazmaish main tumhare sath rahoon gi.  Main achay dinon main tumhari zindagi main aayi hun, Main buray dinon mai bhi tumhain akela nahin choroon gi. " -Imama Hashim

Woh kia tha ?

Image
Woh kia tha?  Qabar .. Ya Dozakh ? Ya Zindagi ka aik Manzar ? Ecstasy k baad pain hota hai. Maut pain thi. Qabar Nothingness. Aur Nothingness k baad Hell. Salaar woh safar tay karna naheen chaahta tha jo usay  pain or us k bad nothingness se hell ki taraf lay jaye.
" Meri zindagi khatam ho gayi to iss se kisi doosray ko kia farq paray ga ? Duniya main kia tabdeeli aye gi ? Mera khaandaan kia mehsoos karay ga ? Kuch bhi nahin .. Chand dinon k dukh k ilawa kuch bhi nahin aur duniya main to shayad chand lamhon k liye bhi koi tabdeeli naa aye."

Peer e kamil ki talaash

"Har insaan ko zindagi main kabhi naa kabhi peer e kamil ki zarurat parti hai. Kabhi naa kabhi insaani zindagi uss morr par aa kar khari ho jaati hai jab lagta hai  k humaray labon aur dil se nikalnay wali duayen be asar ho ayi hain. Hamaray sajday or phailay huay haath rehmaton aur naimaton ko apni taraf morr nahin paa rahay. Youn lagta hai jaise koi taaluq tha jo toot gaya hai. Phir aadmi chaahta hai k us k liye koi aur haath uthaye, kisi aur k labb us ki dua Allah tak pohnchaye, koi aur Allah k samnay girgiraye, koi aisa shakhs jis ki duayen qabool hoti hon, Jiss k labon se nikalnay wali iltejayen us k apnay lafzon ki tarha morr naa dee jaati hon. Phir insaan Peer e Kamil ki talaash shuru karta hai. Bhaagta phirta hai dunya mai kisi aise shakhs ki talaash mai jo kaamliyat ki kisi naa kisi seerhi par khara ho."
"Kayi saal pehlay jab Imama Hashim sochay samjhay baghair ghar say nikal pari thi, toh woh uss lagan ko samajh nahi paya tha. Uss kay nazdeek woh himaqat thi. Baad mai uss nay apnay khayalat mai tarmeem karli thi. Ussay yaqeen agaya tha kay koi bhi waqai Hazrat Mohammad (S.A.W.W) ki mohabbat mai is had tak giriftaar hosakta hai kay sab chor day." An Excerpt From: Pir-e-Kamil(S.A.W)

Ibaadat

"Sirf Ibaadat karnay se Zindagi main koi Numayaan Tabdeeli Nahin layee jaa sakti. Achay kaamon ya kirdaar ka ta'aluq Ibaadat karnay ya naa karnay se nahi hota." 

Masjidain

Image

Wahan sirf hum hoty hain or Allah hota hai.

" Zindagi main kabhi naa kabhi hum uss muqaam par aa jatay hain,  Jahan saaray rishtay khatam ho jatay hain. Wahan sirf hum hoty hain or Allah hota hai. Koi maa baap, Behen bhai, Koi dost nahin hota. Phir hamain pata chalta hai k hamaray pairon k neechay koi zameen hai,  N aa sarr k upar koi aasmaan. Bas sirf aik Allah hai jo iss khalla main bhi hamain thaamay huay hai. Phir pata chalta hai k hum zameen par pari matti k dhair mai zarray ya darakht par lagay aik pattay se ziada ki wuqa't nahin rakhty. Phir pata chalta hai k hamary honay naa honay se sirf hamain farq parta hai. Sirf hamara kirdaar khatam ho jata hai. Kainaat mai koi tabdeeli nahin aati, Kisi par koi asar nahin parta. " Translation: � In life, at sometime or another we come to a point where all relationships cease�  where there is only us and Allah.  There are no parents,  brother or sister,  or any friend.  Then we realize that there is no earth under us nor is there sky above,...

Tum Pachtaao gi Imama!

" Tum jo kuch kar rahi ho Imama! tum iss per bohat pachtao gi. Tumharay haath kuch bhi nahi aye ga." 9 saal pehlay Hashim Mubeen nay uss kay chehray per thappar martay hue kaha tha. "Saari duniya ki zillat aur ruswaayi, badnaami aur bhook tumhara muqaddar bun jaye gi." Unhone uss kay chehray per aik aur thappar maara.  "Tumhari jesi larkiyon ko Allah zaleel aur khuwar karta hai.Kisi ko moonh dikhanay k qabil nahi chorta." Imama ki aankhain nam hogayeen. "Aik waqt aye ga jab tum dobara hamari taraf loto gi. Minnat simaajat karo gi. Girgirao gi. Tab hum tumhain dhutkaar dain gay.Tab tum cheekh cheekh kar apnay moonh say apnay gunaah ki maafi mango gi. Kaho gi main ghalat thi."I mama ashkbaar aankhon say muskurayi "Meri khuwahish hai Baba!"Uss nay zair-e-lab kaha."Kay zindagi mai aik baar main aap kay samnay aaoon aur aap ko bata doon kay dekh lijiye, meray chehray per koi zillat, koi ruswaayi nahi hai. Meray Allah aur Meray Paighamba...

Ussay uss Aurat ka kafeel bana diya gaya tha ..

Image
"  Salaar kuch kahay baghair uth khara hua. Woh Khaana Kaaba kay darwazay ko dekh raha tha. Bilaashuba ussay zameen per utaari janay wali Suaaleh aur Behtareen auraton mai say aik bakhsh di gayi thi.  Woh aurat jis kay liye 9 saal uss nay her waqt aur her jagah dua ki thi. Kiya Salaar Sikandar kay liye naimaton ki koi had reh gayi thi aur ab jab woh aurat uss kay saath thi tu ussay ahsaas horaha tha kay woh kesi bhaari zimmedaari apnay liye lay betha tha.  Ussay uss aurat ka kafeel bana diya gaya tha,jo naiki aur Paarisaayi mai uss say kahin aagay thi. Imama uth khari hui.  Salaar nay kuch kahay baghair uss ka haath thaam kar wahan say janay kay liye qadam barha diye.  Ussay uss aurat ki hifazat sonp di gayi thi, jiss nay apnay ikhtiyaar ki zindagi ko uss ki tarah kisi alaaish aur ghalazat mai nahi duboya, jis nay apni tamam Jismaani aur jazbaati kamzoriyon kay bawajood apni rooh aur jism ko uss ki tarah nafs ki bhaint nahi charhaya.  Uss ka haath thaamay q...

Allah say khud maangain!

� Dua qubool nahi hoti tu aasray aur waseelay talaash karnay kay bajaaye sirf haath utha lijiye, Allah say khud maangain! Day dai tu shukar karain, na day tu sabar.. Magar haath aap khud hi uthayain. Zindagi ka qareena aur saleeqa nahi araha tu Uswa-e-Hasan Salallahu Alayihi Wa'aalihi Wasallam ki taraf chalay jayain, sab kuch mil jaye ga aap ko. Ahtiraam her aik ka karain. Har wali ka, har Momin ka, har buzurg ka, har shaheed ka, har Suaaleh ka, har Paarsaah ka. Magar apni zindagi mai hidayat aur rehnumaai sirf Hazrat Mohammad Salallahu Alayihi Wa'aalihi Wasallam say lain .. kiun kay unhone aap tak apnay zaati ahkamaat nahi pohnchaaye. Jo kuch bataya woh Allah ka naazil karda hai. "

Bakhshish nahi hogi tumhari!

" Tum..... tum ... tum ....... Bakhshish nahi hogi tumhari!  Hashim Mubeen ghussay kay alam mai ungli utha kar bolnay lagay.  Imama ko unn per tars anay laga. Ussay dozakh mai kharay ho kar dozakh say daranay walay shakhs per tars aya, Ussay ankhon per patti bandh kar phirnay walay shakhs per tars aya. Ussay mohar shuda dil walay admi per tars aya, Ussay nafs zada aadmi per tars aya, Ussay gumraahi ki sab say ooper wali seerhi per kharay admi per tars aya. "

Mushkil Marhala

Image
" Insaan kay liye sab say mushkil marhala woh hota hai ..  Jab uss ka dil kisi cheez ki gawahi day raha ho  Magar uss ki zabaan khamoosh ho. Jab uss ka dimagh chilla chilla kar kisi cheez ki sadaaqat ka Iqraar kar raha ho  Magar hont saakit ho. "

Naiki kia hai ?

Image
Salaar : Naiki kia hoti hai ? Saad : Achay kaam ko naiki kehte hain. Salaar : Acha kaam kia hota hai ? Saad : Acha kaam ... Koi aisa kaam jo kisi doosray k liye kiya gaya ho, Kisi ki madad ki gayi ho, kisi par mehrbaani i gayi ho, Woh acha kaam hota hai aur har acha kaam naiki hoti hai. Salaar : Abhi kuch ghantay pehle mainy wahan footpath par aik hooker ko 50 dollar diye jab k woh sirf 30 dollar maang rahi thi. Iska matlab ye naiki hui ? Saad ka dil chaaha woh aik ghoonsa us k mou par kheench maaray. Woh ajeeb aadmi tha.

Thi kiya woh......?

Image
�Salaar Sikandar nay pichlay aath saalon mai Imama Hashim kay liye her jazba mehsoos kiya tha.  Hiqaarat, Tazheek, Pachtaawa, Nafrat, Mohabbat sab kuch. Magar aaj wahan bethay pehli baar ussay Imama Hashim say hasad horaha tha. Thi kiya woh......?  Aik aurat.. Zara si aurat ..  Asmaan ki hoor nahi thi....Salaar Sikandar jesay aadmi kay saamnay kiya auqaat thi uss ki.   Kiya mera jesa I.Q Level tha uss ka? Kiya meray jesi kamiyaabiyaan theen us ki? Kiya meray jesa kaam karsakti thi woh? Kiya meray jesa naam kama sakti thi? Kuch bhi nahi thi woh aur uss ko sab kuch plate mai rakh kar day diya  Aur main ... Main jis ka I.Q Level 150+ hai mujhay saamnay ki cheezain dekhnay kay qaabil nahi rakha? Woh ab aankhon mai nami liye andheray mai wind screen say baahar dekhtay hue barbara raha tha. "Mujhay bus iss qaabil kardiya kay main baahar nikloon aur duniya fatah kar loon.Woh duniya jis ki koi wuq'at hi nahi hai aur woh....woh...." Woh ruk gaya. Ussay Imama per ghussa ...

Aap Sualeh hain

" Agar duniya aapko apni taraf nahin kheenchti,  Agar ALLAH k khauf se aapki aankhon mai aansu aa jatay hain,  Agar aap ALLAH ki ibaadat ussi tarha karte hain jis tarha karni chahiye, Agar naiki aapko apni taraf raaghib karti hai,  Aur aap burai se rukk jaatay hain  Toh phir aap Sualeeh hain. "

Zamana e Jaahiliyat

" Hum Zindagi K kisi marhaley par zamana e Jahliyat sey guzartey hain.  Baaz guzar jate hain.  Aur Baaz sari Zindagi isi mein guzaar detey hai " - Umera Ahmed.

Gunnah Ka Bojh

�Gunaah ka bojh kiya hota hai aur aadmi apnay gunaah kay bojh ko kiss tarah qayaamat kay din apni pusht say utaar phainkna chahay ga,  Kiss tarah uss say door bhaagna chahay ga,  Kiss tarah doosray kay kandhay per daal dena chahay ga, Yeh uss ki samajh mai Haram Shareef mai pohanch kar aya tha. Wahan kharay ho kar woh apnay paas mojood aur anay wali saari zindagi ki daulat kay aiwaz bhi kisi ko woh guna ah baichna chahta tu koi yeh tijarat na karta. Kaash aadmi kisi maal kay aiwaz apnay gunaah baich sakta. Kisi ujrat kay taur per doosron ki naikiyaan mangnay ka haq rakhta. Laakhon loagon kay iss hujoom mai 2 sufaid chaadarain orhay,kaun janta tha kay Salaar Sikandar kaun tha? Uss ka I.Q Level kiya tha. Kissay parwah thi?  Uss kay paas kaun kaunsi aur kahan ki Degree thi. Kissay hosh tha? Uss nay zindagi kay Maidaan mai kitnay taleemi record toray aur banaye thay.  Kissay khabar thi woh apnay zehan kay kaun say maidaan taskheer karnay wala tha. Kaun rashk karnay wala ...