Mein Nabi Hota to Nabiyon Jesi Dua kerta, Magar mein to aam Bashar hun or Gunah-Gaar Bashar! Meri khawahishat, Meri Arzuain.. sab aam hain! Yahan kharay ho ker kabhi koi kisi Aurat k liye nai Roya hoga! Meri zilat or Pasti ki is se ziada inteha kya ho gi k mein yahan khara... Haram paak may khara, aik Aurat k liye Girgira raha hun! Aagar mujha naa apnay dil pe Ikhtiyar hai naa apnay Ansuon per! yeh mein nai tha jis ne us Aurat ko apnay dil may jagah di, yeh tu nay kiya! kyun meray dil mai us aurat k liye itni muhabbat daal di k mein teray samnay khara bhi usko yaad ker raha hun? kyun mujhy is qadar baybus ker dia k mujhy apnay wujood per bhi koi Ikhtiyaar nai raha? Mein wo Bashar hun jisay tu ne In tamam kamzoriyon k sath banaya! Mein wo bashar hun jisay teray Siwa koi Raasta dhikhanay wala nahi or wo Aurat ... wo meri zindagi k her raastay pay khari hai! Mujhay kahin jaanay kahin pohonchnay nahi de rahi yaa to uski Muhabbat ko is tarah me...
" Mujhay tum se kitni muhabbat ho gi ye main nahin jaanti. Dil par mera akhtiyaar nahin hai. Magar mai jitni zindagi tumhare sath guzaarun gi, Tumhari wafadaar or farman-bardaar rahoon gi. Yeh mere Akhtiyaar main hai. Main zindagi k har mushkil marhalay , Har aazmaish main tumhare sath rahoon gi. Main achay dinon main tumhari zindagi main aayi hun, Main buray dinon mai bhi tumhain akela nahin choroon gi. " -Imama Hashim
Comments
Post a Comment