Posts

Salaar Sikandar

Image
Salaar Sikandar " Tumhara naam kia hai ?" "Pata nahin." "Maa baap ne kia rakha tha?" "Ye unhi se poochen." Khamoshi .. "Log kis naam se pukaartay hain tumhain?" "Larkay ya larkiyan?" "Larkay" "Bohat saaray naam lete hain." "Zida tar konsa naam pukaarty hain?" "Daredevil." Khamoshi ... "Aur larkiyan ?" "Woh bhi boht saaray naam leti hain." "Ziada tar kis naam se pukaarti hain?" "Yeh main nahin bata sakta. Its too personal." Gehri khamoshi.  Taweel saans... Phir khamoshi.
Woh UNICEF ki team k sath chartered taiyaaron mai safar karte huay apni zindagi k baray mai sochta .. Uss ne zindagi main aise kon se kaarnamay sar anjaam diye thay k usay woh pur-aasae'sh zindagi dee gayi thi jo woh guzaar raha tha. Aur un logo se kia gunnah huay thay k woh zindagi ki tamam buniyaadi zaruriyaat se mehroom sirf zinda rehne ki khwahish mai khoraak k unn packets k peechay bhaagtay phirtay hain.

Chot

Uss ne zindagi main pehli baar chot khayii thi aur zindagi main pehli baar parnay wali chot toh baray baron ko rula deti hai.

Hum kia hain ?

" Hum kya hain Hmari Muhabatain kya hain ? kya chahtay hain .. kya paatay hain.. " -Umera Ahmad (Peer-e-Kamil) 
"Khwaahish toh Allah insaan ko woh day deta hai k Maujazon k ilawa koi cheez jisay poora kar hee nahin sakti." -Peer e kamil-

Salaar ki Dua

Image
Mein Nabi Hota to Nabiyon Jesi Dua kerta, Magar mein to aam Bashar hun or Gunah-Gaar Bashar!  Meri khawahishat, Meri Arzuain.. sab aam hain!  Yahan kharay ho ker kabhi koi kisi Aurat k liye nai Roya hoga! Meri zilat or Pasti ki is se ziada inteha kya ho gi k mein yahan khara... Haram paak may khara, aik Aurat k liye Girgira raha hun! Aagar mujha naa apnay dil pe Ikhtiyar hai naa apnay Ansuon per!  yeh mein nai tha jis ne us Aurat ko apnay dil may jagah di,  yeh tu nay kiya! kyun meray dil mai us aurat k liye itni muhabbat daal di k mein teray samnay khara bhi usko yaad ker raha hun?  kyun mujhy is qadar baybus ker dia k mujhy apnay wujood per bhi koi Ikhtiyaar nai raha?  Mein wo Bashar hun jisay tu ne In tamam kamzoriyon k sath banaya!  Mein wo bashar hun jisay teray Siwa koi Raasta dhikhanay wala nahi or wo Aurat ... wo meri zindagi k her raastay pay khari hai!  Mujhay kahin jaanay kahin pohonchnay nahi de rahi yaa to uski Muhabbat ko is tarah me...

Waada

Image
" Mujhay tum se kitni muhabbat ho gi ye main nahin jaanti.  Dil par mera akhtiyaar nahin hai. Magar mai jitni zindagi tumhare sath guzaarun gi, Tumhari wafadaar or farman-bardaar rahoon gi. Yeh mere Akhtiyaar main hai.  Main zindagi k har mushkil marhalay ,  Har aazmaish main tumhare sath rahoon gi.  Main achay dinon main tumhari zindagi main aayi hun, Main buray dinon mai bhi tumhain akela nahin choroon gi. " -Imama Hashim

Mere haathon se khushbu jaati nahin.

Image

Woh kia tha ?

Image
Woh kia tha?  Qabar .. Ya Dozakh ? Ya Zindagi ka aik Manzar ? Ecstasy k baad pain hota hai. Maut pain thi. Qabar Nothingness. Aur Nothingness k baad Hell. Salaar woh safar tay karna naheen chaahta tha jo usay  pain or us k bad nothingness se hell ki taraf lay jaye.

Muhabbat Mai Sidq

"Ye jo log kehte hain naw jis se muhabbat hui woh naheen milla. Aisa pata hai kyun hota hai ? Muhabbat mai sidq naa ho to muhabbat nahin milti.  9 saal pehle jab maine Jalal se muhabbat ki to puray sidq k sath ki. Duaen, Wazeefain, Manaten, Kia tha jo main ne nahin kar chora .. Magar woh mjhe nahin milla. Pata hai kyun ? Kyunkay uss waqt tum bhi mujhse karne lagay thay. Aur tumhaari muhabbat main meri muhabbat se ziada sidq tha." 

Ajeeb wehshat, Ajeeb Aalam

" Ajeeb Wehshat thi jo bahar thi,     Ajeeb Aalam tha jo Andar tha. "
" Meri zindagi khatam ho gayi to iss se kisi doosray ko kia farq paray ga ? Duniya main kia tabdeeli aye gi ? Mera khaandaan kia mehsoos karay ga ? Kuch bhi nahin .. Chand dinon k dukh k ilawa kuch bhi nahin aur duniya main to shayad chand lamhon k liye bhi koi tabdeeli naa aye."
Woh zinda rehna nahin chaahta tha ..  Kyun k woh zindagi k mafhoom se waqif nahin tha. Woh marna nahin chaahta tha ..  Kyun k woh maut k mafhoom se bhi waaqif nahin tha, Woh kisi khalaa mai mualaq tha. Kisi darmiyaan wali jagah main , Kisi beech wali kaifiyat main.
" Duniya Ishq e Allah se shuru hoti hai aur Ishq e Muhammad (S.A.W) par khatam ho jati hai. " 

Peer e kamil ki talaash

"Har insaan ko zindagi main kabhi naa kabhi peer e kamil ki zarurat parti hai. Kabhi naa kabhi insaani zindagi uss morr par aa kar khari ho jaati hai jab lagta hai  k humaray labon aur dil se nikalnay wali duayen be asar ho ayi hain. Hamaray sajday or phailay huay haath rehmaton aur naimaton ko apni taraf morr nahin paa rahay. Youn lagta hai jaise koi taaluq tha jo toot gaya hai. Phir aadmi chaahta hai k us k liye koi aur haath uthaye, kisi aur k labb us ki dua Allah tak pohnchaye, koi aur Allah k samnay girgiraye, koi aisa shakhs jis ki duayen qabool hoti hon, Jiss k labon se nikalnay wali iltejayen us k apnay lafzon ki tarha morr naa dee jaati hon. Phir insaan Peer e Kamil ki talaash shuru karta hai. Bhaagta phirta hai dunya mai kisi aise shakhs ki talaash mai jo kaamliyat ki kisi naa kisi seerhi par khara ho."
"Agar hamain Khaaliq kay Ehsaanon ko yaad rakhnay ki aadat na ho  Toh hum kisi makhlooq ka Ehsaan bhi yaad rakhnay ki aadat nahi seekh saktay."
"Kayi saal pehlay jab Imama Hashim sochay samjhay baghair ghar say nikal pari thi, toh woh uss lagan ko samajh nahi paya tha. Uss kay nazdeek woh himaqat thi. Baad mai uss nay apnay khayalat mai tarmeem karli thi. Ussay yaqeen agaya tha kay koi bhi waqai Hazrat Mohammad (S.A.W.W) ki mohabbat mai is had tak giriftaar hosakta hai kay sab chor day." An Excerpt From: Pir-e-Kamil(S.A.W)

Ussay Allah se khauf aa raha tha.

"Ussay Allah se khauf aa raha tha. Woh kis qadarr taaqat war tha. Kia nahin kar sakta tha? Woh kis Qadar mehrbaan tha. Kia nahin karta tha .. Insaan ko insaan rakhna usay aata tha ... Kabhi Ghazab se .. Kabhi Ehsaan se. Woh ussay uss k dairay main hee rakhta tha."

Bolna nahin .. sirf sun'na

"Bolna nahin .. sirf sun'na .. sirf sun'na bhi baaz dafa boht Ehmiyat ka haamil hota hai." 

Ibaadat

"Sirf Ibaadat karnay se Zindagi main koi Numayaan Tabdeeli Nahin layee jaa sakti. Achay kaamon ya kirdaar ka ta'aluq Ibaadat karnay ya naa karnay se nahi hota."